Naam (Mantra) of which Ram (God) has to be Chanted ?
Gita Ji Adhyay no. 15 Shlok no. 16
Dwau, imau, purushau, loke, ksharH, ch, aksharH, ev, ch, KsharH, sarvani, bhootani, kootasthH, aksharH, uchyate 16
Translation: In this world, there are two types of Gods, Perishable and Imperishable , and the bodies of all the living beings are said to be perishable and the soul, imperishable.
Gita Ji Adhyay no. 15 Shlok no. 17
UttamH, purushH, tu, anyaH, Parmatma, iti, udahrtH, YaH, loktryam , aavishya, bibharti, avyyaH, iishwarH 17
Translation: The Supreme God is, however, someone else, who by entering into the three loks, sustains everyone and is called as Eternal Supreme God.
What God Kabir
Kabir, Akshar Purush ek ped hai, Niranjan vaaki daar
Trideva (Brahma, Vishnu, Shiv) shaakha bhaye, paat bhya sansaar
Kabir, teen devko sab koi dhyaavae, chautha devka maram na pavae
Chautha chhaadi pancham dhyaavae, kahae Kabir so humre aavae
Kabir, teen gunan ki bhakti mein, bhooli paryau sansaar
Kahae Kabir nij naam bin, kaise utrae paar
Kabir, omkaar naam Brahm (Kaal) ka, yeh karta mati jaani
Saacha shabd Kabir ka, parda maahi pahichaani
Kabir, teen lok sab Ram japat hai, jaan mukti ko dhaam
Ramchandra vashishth guru kiya, tin kahi sunaayo naam
Kabir, Ram Krishna avatar hain, inka naahi sansaar
Jin Sahib sansaar kiya, so kinhu na janmya naari
Kabir, chaar bhujake bhajan mein, bhuli pare sab sant
Kabira sumirae taasu ko, jaake bhuja anant
Kabir, vashishth muni se tatveta gyaani, shodh kar lagn dharae
Sita haran maran dashrath ko, ban ban Ram firae
Kabir, samudr paati lanka gaye, sita ko bhartaar
Taahi agust muni peey gayo, inmein ko kartaar
Kabir, govardhan Krishna Ji uthaaya, dronagiri hanumant
Shesh naag sab srishti uthaai, inmein ko bhagwant
Garib, durvaasa kope tahaan, samajh na aai neech
Chhappan koti yadav katey, machi rudhir ki keech
Kabir, kaate bandhan vipati mein, kathin kiya sangraam
Chinho re nar praaniyaan, garud bado ki Ram
Kabir, kah Kabir chit chetahu, shabd karau niruvaar
Shri Ramchandra ko karta kahat hain, bhooli paryo sansaar
Kabir, jin Ram Krishna Niranjan kiya, so to karta nyaar
Andha gyaan na bujhaii, kahae Kabir bichaar
Kabir, teen gunan (Brahma, Vishnu, Shiv) ki bhakti mein, bhool padyo sansaar
Kahae Kabir nij naam bina, kaise utro paar
|| Shabd/hymn || (composed by Sant Rampal Das Ji Maharaj)
Yudh jeet kar Pandav, khushi huye apaar |
indraprasth ki gaddi par, Yudhishthir ki sarkaar ||1||
Ek din Arjun poochhta, sun Krishna bhagwan |
ek baar fir suna diyo, vo nirmal Gita gyaan ||2||
Ghamaasaan yudh ke kaaran, bhool padi hai mohe |
jyon ka tyon kehna bhagwan, tanik na antar hoye ||3||
Rishi muni aur devta, sabko rahe tum khaay |
inko bhi nahin chhoda aapne, rahe tumhaara hi gun gaaye ||4||
Krishna bole Arjun se, yeh galti kyon kinh |
aise nirmal gyaan ko bhool gaya buddhiheen ||5||
Ab mujhe bhi kuchh yaad nahin, bhool padi nidaan |
jyon ka tyon us Gita ka main, nahin kar sakta gungaan ||6||
Swayam Shri Krishna ko yaad nahin, aur Arjun ko dhamkaave |
buddhi Kaal ke haath hai, chaahe triloki naath kahlaave ||7||
Gyaan heen prchaarka, gyaan kathein din raat |
jo sarv ko khaane wala, kahein usi ki baat ||8||
Sab kahein bhagwan krpaalu hai, kripa karein dayaal |
jiski sab pooja karein, vah swayam kahae main Kaal ||9||
Maarae khaavae sab ko, vah kaisa kripaal |
kutte gadhe suar banaavae hai, fir bhi deen dayaal ||10||
Bible Ved Quran hai, jaise chaand prkaas |
suraj gyaan Kabir ka, karae timar ka naash ||11||
Rampal saachi kahae, karo vivek vichaar |
Satnaam va Saarnaam, yahi mantra hai saar ||12||
Kabir hamaara Ram hai, vo hai deen dayaal |
sankat mochan kasht haran, gun gaavae Rampal ||13||
|| Shabd || (composed by Sant Rampal Das Ji Maharaj)
Brahma Vishnu Shiv, hain teen lok prdhaan |
Ashtangi inki mata hai, aur pita Kaal bhagwan ||1||
Ek laakh ko Kaal, nit khaavae seena taan |
Brahma banaavae Vishnu paalae, Shiv kar de kalyaan ||2||
Arjun darke poochhta hai, yeh kaun roop bhagwan |
kahae Niranjan main Kaal hoon, sabko aaya khaan ||3||
Brahm naam isi ka hai, ved karein gungaan |
janm maran chaurasi, yeh iska sanvidhaan ||4||
Chaar Ram ki bhakti mein, lag raha sansaar |
paanchvein Ram ka gyaan nahin, jo paar utaaranhaar ||5||
Brahma-Vishnu-Shiv teeno gun hain, doosra Prakriti ka jaal |
laakh jeev nit bhakshan kare, Ram teesra Kaal ||6||
Akshar Purush hai Ram chautha, jaise chandrma jaan |
paanchva Ram Kabir hai, jaise uday hua bhaan ||7||
Ramdevanand guru Ji, kar gaye najar nihaal |
Satnaam ka diya khajaana, bartae Rampal ||8||
0 Comments